is se pahle ki ġham-e-kaun-o-makāñ ko samjho
ho sake gar to mire ġham kī zabāñ ko samjho
lafz-o-ma.anī se alag hai mire ehsās kā rañg
ho sake tum se to andāz-e-bayāñ ko samjho
husn hai vahm-e-mohabbat bhī gumāñ hai lekin
dil ye kahtā hai ki har vahm-o-gumāñ ko samjho
tum samajhte hī nahīñ rañg-e-shikasta kī zabāñ
kaun kahtā hai ki tum merī fuġhāñ ko samjho
hai ġham-e-sūd-o-ziyāñ fikr-o-nazar kī pastī
āgahī ye hai ki āshob-e-jahāñ ko samjho