Khurshid-ul-islam

hum pe agarche bhaari guzri phir bhi thi kya pyari raat

Khurshid-ul-islam

Rampur, Uttar pradesh, India

1919-2006
ham pe agarche bhārī guzrī phir bhī thī kyā pyārī raat
aap bhī taḌpī saath hamāre aap bhī jaagī saarī raat
jaise jaise raat Dhalī hai dard kī lazzat aur baḌhī
yādoñ kī ḳhushbū meñ basā kar ham ne ḳhuub sañvārī raat
tere ḳhayāloñ ke parde se jab ġham-e-duniyā jhāñk uThā
ruk ga.ī jaise vaqt kī gardish ho ga.ī dil par bhārī raat
aap na māneñ aap na samjheñ aap pe dil kā zor nahīñ
ham ne apnā dard kahā hai aap se saarī saarī raat
shaam se kaliyāñ dard kī mahkīñ jalte rahe ashkoñ ke charāġh
jaise sabā gulzār se guzre ham ne aise guzārī raat
Top Urdushayar.com