tirā ġham jab se kam hone lagā hai
hameñ bhī apnā ġham hone lagā hai
ham apne haal se Darne lage haiñ
ki ġham-ḳhvāroñ ko ġham hone lagā hai
hamārī rāstī ke sāmne ab
hamārā qad bhī ḳham hone lagā hai
atā karte haiñ jo ahl-e-tavāzo.a
vo baada ham ko sam hone lagā hai
vajūd-e-ādmī se peshtar hī
sirr-e-ādam qalam hone lagā hai
koī chehra koī naġhma koī jaam
ḳhafā duniyā se dam hone lagā hai
sanam pahle ḳhudā thā ab ḳhudā bhī
tarāshīda sanam hone lagā hai