raat bhī hai kuchh suunī suunī din bhī kuchh vīrān sā hai
phuul bhī haiñ kuchh sahme sahme baaġh bhī kuchh hairān sā hai
qarya qarya auj pe sar haiñ nok-e-sināñ sarsabz sī hai
ḳhanjar jhamkeñ la.al se goyā gardan par ehsān sā hai
daa.eñ baa.eñ aage pīchhe patthar kī dīvāreñ haiñ
kis se kahiye aur kyā kahiye jo bhī kahe nādān sā hai
din se jo bhī raat milī hai girya kī dīvār sī hai
raat se jo bhī din paayā hai nuuh kā ik tūfān sā hai
jis ko dekho aisā qātil chullū se jo ḳhuun piye
jis ko dekho aisā saada jaise bas anjān sā hai
leTe baiThe chupke chupke chāTte rahnā zaḳhmoñ ko
rañj kā kuchh iz.hār nahīñ hai lutf kā ye sāmān sā hai
bastī bastī aag lage aur galiyoñ galiyoñ ḳhuun bahe
qudrat kā ye khel nahīñ hai qudrat kā farmān sā hai