Khurshid-ul-islam

yar ek lazzat-e-didar se aage na gae

Khurshid-ul-islam

Rampur, Uttar pradesh, India

1919-2006
yaar ik lazzat-e-dīdār se aage na ga.e
ya.anī zulf-o-lab-o-ruḳhsār se aage na ga.e
josh meñ sūrat-e-nādār jo aate haiñ nazar
hosh meñ shikva-e-zar-dār se aage na ga.e
thā vahīñ kū-e-muġhāñ chār-qadam par afsos
kyā kiyā ham ne ki bāzār se aage na ga.e
ġham jo āzār thā ik daulat-e-bedār hai ab
ham to is daulat-e-bedār se aage na ga.e
shab ne jalva kiyā do-chār tarab-ḳhānoñ meñ
sub.h ke jalve bhī dīvār se aage na ga.e
zulf kī chhāñv meñ so.e na ḳhatar meñ jaage
haa.e vo log jo begār se aage na ga.e
āsmāñ toḌ ke aadam to zamīñ tak aayā
mehr-o-mah gardish-e-parkār se aage na ga.e
Top Urdushayar.com