kabhī guloñ kabhī ḳhāroñ ke darmiyāñ guzrī
sabā chaman se ba-zāhir to shādmāñ guzrī
usī kā naam azal hai usī kā naam abad
vo ek raat jo phūloñ ke darmiyāñ guzrī
kahīñ lapak uThe sho.ale kahīñ mahak uThe gul
shab-e-firāq na pūchho kahāñ kahāñ guzrī
ba-shakl-e-qāmat-e-ādam ba-tarz-e-raqs-e-parī
hamāre sar pe qayāmat bhī kyā javāñ guzrī
kabhī kabhī to ġham-e-dil kī lai baḌhī itnī
dil-e-hayāt kī dhaḌkan bhī kuchh garāñ guzrī
baḌe nasheb bahut pech-o-ḳham the rāhoñ meñ
magar ye umr-e-do-roza ravāñ-davāñ guzrī
baham rahe haiñ sar-o-sīna yak-digar kyā kyā
ki sar pe teġh paḌī dil se jab sināñ guzrī