baḌe ḳhulūs se dāman pasārtā hai koī
ḳhudā ko jaise zamīñ par utārtā hai koī
na pūchh kyā tire milne kī aas hotī hai
kahāñ guzartī hai kaise guzārtā hai koī
bajā hai shart-e-vafā shart-e-zindagī bhī to ho
bachā sake to bachā le ki hārtā hai koī
vo kaun shaḳhs hai kyā naam hai ḳhudā jaane
añdherī raat hai kis ko pukārtā hai koī
tamām ishq kī jāgīr ho ga.ī duniyā
tirī nigāh pe duniyā ko vārtā hai koī
charāġh rakh ke sar-e-shām dil ke ziine par
mujhe ḳhabar nahīñ hotī sudhārtā hai koī
ye sar kā bojh nahīñ dil kā bojh hai ai 'shāz'
kahāñ utartā hai lekin utārtā hai koī