dil huā vīrāñ matā-e-chashm-e-nam jaatī rahī
rafta rafta shorish-e-tab-e-alam jaatī rahī
tujh pe kyā guzrī ki pās-e-āshiqāñ karne lagā
ya.anī ham par vo tirī mashq-e-sitam jaatī rahī
ham ko duniyā se shikāyat hai kuchh is andāz kī
thī kabhī duniyā ko jaise qadr-e-ġham jaatī rahī
mai-kada hai riñd haiñ saaqī hai daur-e-jām hai
bazm-e-jam baaqī hai ab tak shān-e-jam jaatī rahī
rah gayā siine meñ ġham āsār-e-ġham zāhir nahīñ
ġhamgusāroñ se bhī ab chashm-e-karam jaatī rahī
jis ko kahte haiñ mohabbat ho ga.ī ab rasm-e-ġhair
jis ko kahte haiñ muravvat besh-o-kam jaatī rahī