Khurshid-ul-islam

ye roz-o-shab milenge kahan dekhte chalen

Khurshid-ul-islam

Rampur, Uttar pradesh, India

1919-2006
ye roz-o-shab mileñge kahāñ dekhte chaleñ
aa.e haiñ jab yahāñ to jahāñ dekhte chaleñ
zamzam piyeñ sharāb piyeñ zahr-e-ġham piyeñ
har har nafas kā raqs-e-javāñ dekhte chaleñ
ho jaa.eñ rafta rafta hasīnoñ kī ḳhāk-e-pā
be-nām ho ke nām-o-nishāñ dekhte chaleñ
lahje meñ rañg ruḳh meñ nazar meñ ḳhirām meñ
ik jān-e-jāñ kā lutf-e-nihāñ dekhte chaleñ
āñkhoñ se uñgliyoñ se laboñ se ḳhayāl se
jis jis badan meñ jo hai samāñ dekhte chaleñ
ye jān-o-tan jo piir hue ġham ke bojh se
jaate hue to un ko javāñ dekhte chaleñ
ḳhushbū se jin kī ab bhī mo.attar haiñ bām-o-dar
in bastiyoñ meñ un ke nishāñ dekhte chaleñ
zauq-e-yaqīñ kī husn-e-muravvat kī ġham kī maut
jo kuchh dikhā.e umr-e-ravāñ dekhte chaleñ
khā.eñ fareb roz uThā.eñ naqāb roz
har shaḳhs kyā hai aur kahāñ dekhte chaleñ
maanā ki rā.egāñ hī ga.ī umr-e-be-sabāt
phir bhī hisāb-e-sūd-o-ziyāñ dekhte chaleñ
Top Urdushayar.com