Khurshid-ul-islam

hawa-e-garmi-e-sud-o-ziyan se ruTh gae

Khurshid-ul-islam

Rampur, Uttar pradesh, India

1919-2006
havā-e-garmī-e-sūd-o-ziyāñ se ruuTh ga.e
zarā sī baat pe sāre-jahāñ ruuTh ga.e
vo ishq-e-gul thā ki gulchīñ ke ham adū Thahre
ye rashk-e-gul hai ki ham bāġhbāñ se ruuTh ga.e
jo be-dimāġh tirī rahguzar meñ aa baiThe
makāñ to chiiz hai kyā lā-makāñ se ruuTh ga.e
jo tez-gām thā us ko sikhā.ī rasm-e-sulūk
jo sust-e-gām thā is kārvāñ se ruuTh ga.e
haram se guzre to shaiḳh-e-haram se laḌ baiThe
muġhāñ meñ pahuñche to pīr-e-muġhāñ se ruuTh ga.e
vo sāda-dil haiñ ki ġhairoñ ko rāzdāñ jaanā
vo bad-gumāñ haiñ har rāz-dāñ se ruuTh ga.e
ye dekh kar ki ġham-e-do-jahāñ hai rasm-e-jahāñ
jo ahl-e-ġham the ġham-e-do-jahāñ se ruuTh ga.e
kahāñ haiñ ahl-e-bahār aur kahāñ hai dāvat-e-gul
ki be-nasīb gul-o-gulsitāñ se ruuTh ga.e
kahāñ hai pīr-e-muġhāñ aur kahāñ hai muzda-e-hosh
ki tishna-lab rah-o-rasm-e-muġhāñ se ruuTh ga.e
ye ehtiyāt ne saaqī kī dil kā haal kiyā
ki riñd garmī-e-bazm-e-jahāñ se ruuTh ga.e
Top Urdushayar.com