Khurshid-ul-islam

jitne naghme the wajh-e-KHalish ban gae jitne nale the sarf-e-hawa ho gae

Khurshid-ul-islam

Rampur, Uttar pradesh, India

1919-2006
jitne naġhme the vaj.h-e-ḳhalish ban ga.e jitne naale the sarf-e-havā ho ga.e
ham vahī haiñ jo kal the magar kyā huā ham vahīñ haiñ magar kyā se kyā ho ga.e
jin ke dāman tahī aur ḳhālī the dil jin kī jur.at thī kam aur jaañ muzmahil
āstānoñ pe sajde vo karte rahe rafta rafta hamāre ḳhudā ho ga.e
is zamāne ke jo mīr-o-sultān the nau-e-ādam meñ ya.anī jo insān the
dil se paa.ī unhoñne vo nashv-o-numā tere kūche ke āḳhir gadā ho ga.e
shor sīnoñ meñ uTh uTh ke dabte rahe dil-jigar duur gurdoñ meñ khapte rahe
haath kitne the yaañ jo qalam ho ga.e saaz kyā kyā the jo be-sadā ho ga.e
yaar duniyā ke sāñche meñ Dhalte rahe sham.a fānūs the ham pighalte rahe
apnī tanhā-ravī apnā soz-e-darūñ ham bhī duniyā meñ ik mājrā ho ga.e
ab na ḳhatra hai dil meñ na koī ḳhalish ek baaqī rahā hai to rañg-e-tapish
dil subuk aur saada hai is taur se qarz jitne the goyā adā ho ga.e
ġham sañvarte rahe ham sambhalte rahe shauq manzil ke sheve badalte rahe
the jo nazdīk ham se vo ab duur haiñ the jo nā-āshnā āshnā ho ga.e
Top Urdushayar.com