daaġh dhul ga.e ab to dard meñ kamī sī hai
zindagī na jaane kyuuñ phir bhī ajnabī sī hai
kal jis ābgīne se mauj-e-mai chhalaktī thī
aaj us ābgīne kī aañkh meñ namī sī hai
kaif-e-chashm-e-sāqī meñ kuchh kamī nahīñ lekin
jashn-e-mai-gusārāñ meñ aaj be-dilī sī hai
gardish-e-jahāñ meñ bhī kuchh asar hai laġhzish kā
aur nabz-e-hastī bhī kuchh rukī rukī sī hai
sāz-e-ārzū chup hai ruuh meñ hai sannāTā
dil meñ jo bhī sūrat hai ab miTī miTī sī hai