bas ho bhī chukīñ hasrat-e-parvāz kī bāteñ
phir chheḌ kisī anjuman-e-nāz kī bāteñ
uryānī-e-ehsās hai kuchh husn na kuchh ishq
ye raaz kī bāteñ haiñ na vo raaz kī bāteñ
saada sā mazedār sā ik shaḳhs ho jaise
sunte haiñ vo kis lutf se ġhammāz kī bāteñ
kuchh zauq bhī ibrat kā tabī.at meñ hai baaqī
kuchh zauq kī hāmil bhī haiñ tannāz kī bāteñ
mutrib jo hunar-mand ho dam-sāz ho phir dekh
har saaz meñ mastūr haiñ har saaz kī bāteñ
pāmāl ye jaane ki sar-afrāz hai vo bhī
pāmāl se yuuñ kiije sar-afrāz kī bāteñ