zamīñ se shukr o shikāyat hai āsmāñ se nahīñ
ki ham yahīñ se haiñ jo kuchh bhī haiñ vahāñ se nahīñ
bas ek saaya sā phirtā hai dil meñ āvāra
hamāre ġham kā koī silsila fuġhāñ se nahīñ
savāl-e-shola-e-nok-e-zabāñ hai kyā kahiye
kahāñ se aa.e haiñ ham log aur kahāñ se nahīñ
ravish meñ charḳh tapish meñ zamīñ dihish meñ sahāb
ye musht-e-ḳhāk kisī tiira ḳhāk-dāñ se nahīñ
hunar hai masti-e-jāñ raunaq-e-dukāñ kyuuñ ho
ayār-e-masti-e-jāñ raunaq-e-dukāñ se nahīñ
mirā nasab hai mirī zāt-e-pāk se zāhir
sharāfat-e-nasabī naubat o nishāñ se nahīñ