Khurshid-ul-islam

hona hai gham ko KHak-basar jagte raho

Khurshid-ul-islam

Rampur, Uttar pradesh, India

1919-2006
honā hai ġham ko ḳhāk-basar jāgte raho
miltī hai zindagī kī ḳhabar jāgte raho
gardish vidā-e-hijr hai aur muzhda-e-visāl
gardish meñ haiñ ye shām-o-sahar jāgte raho
dekhoge sehn-e-bāġh meñ āb-e-ravāñ kā josh
lā.eñge naḳhl barg-o-samar jāgte raho
siine ko chaak chaak karo dil ko laḳht laḳht
ā.eñge ghar meñ shams-o-qamar jāgte raho
shīsha uThāo jaam meñ Dhālo ġhazal kaho
hotā hai qāfiloñ kā guzar jāgte raho
dekhoge chashm-e-nargis-e-jādū ba-kām-e-dil
dekhoge zulf tā-ba-kamar jāgte raho
raqs-e-butāñ bhī hogā yahīñ raqs-e-jām bhī
āñkhoñ meñ bhar ke josh-e-nazar jāgte raho
vaqt-e-sahar hai vaqt-e-munājāt-o-sair-e-gul
sone meñ hai ziyā-e-sahar jāgte raho
Top Urdushayar.com