Khurshid-ul-islam

ye mana nit-nae fitne ajab ranjan-o-mehan jage

Khurshid-ul-islam

Rampur, Uttar pradesh, India

1919-2006
ye maanā nit-na.e fitne ajab rañjan-o-mehan jaage
magar ye bhī to dekho chār-sū kyā kyā chaman jaage
bujhe baiThe raheñ kab tak bas ab shīshe ko chhalkāo
lahū chahke nafas mahke ḳhirad nāche badan jaage
koī aisī bhī saa.at ho koī aisī bhī shab aa.e
ki merī hasrateñ so jaa.eñ terā bāñkpan jaage
kitāb-e-jism narmī se varaq andar varaq dekheñ
hijāb-e-shauq garmī se shikan andar shikan jaage
ḳhumār-e-be-dilī had se fuzūñ hai aur dil tanhā
koī aisī ġhazal chheḌo ki har dāġh-e-kuhan jaage
kaho gesu-e-mushkīñ se ki bādal jhuum kar uTheñ
zarā band-e-qabā kholo ki gul kī anjuman jaage
piyo vo shai jo ham piite haiñ jam piitā thā zamzam kyā
jise piine se ai vaa.iz na tan jaage na man jaage
Top Urdushayar.com