kashtī-e-mai ko tasavvur meñ ravāñ rakhte haiñ
jeb ḳhālī hai magar dil to javāñ rakhte haiñ
ham ki mahrūm haiñ dīdār-e-ḳhudāvandī se
chashm-e-zāhir to ba-har-sū nigarāñ rakhte haiñ
ḳhānqāhoñ se ta.alluq hai na darbāroñ se
nisbat-e-silsila-e-zulf-e-butāñ rakhte haiñ
jhuk hī jaatā hai falak aañkh jahāñ paḌtī hai
chuum letī hai zamīñ paañv jahāñ rakhte haiñ
ham se ābād hai mai-ḳhāna-e-hastī ya.anī
dil ko rakhte haiñ subuk-sar ko garāñ rakhte haiñ