Khurshid-ul-islam

wo aur bazm hai jis mein charagh jalte hain

Khurshid-ul-islam

Rampur, Uttar pradesh, India

1919-2006
vo aur bazm hai jis meñ charāġh jalte haiñ
yahāñ to apne hī dil aur dimāġh jalte haiñ
tum apnī bazm-e-farāġhat se duur dekho to
ḳhud apnī aag meñ yaañ kitne baaġh jalte haiñ
nikal ke dekho haram se bahār duniyā kī
ki but-kade meñ hazāroñ charāġh jalte haiñ
ye faiz-e-garmī-e-dil hai ki josh-e-bāda-e-tund
hamāre haath meñ aa kar ayāġh jalte haiñ
ajiib sard fazā hai savād-e-ālam kī
ḳhushā vo bazm jahāñ dil ke daaġh jalte haiñ
kahāñ farāġh ki dil meñ haiñ valvale jis ke
abhī to valvala-hā-e-farāġh jalte haiñ
Top Urdushayar.com