merī nazar meñ dosto jis shahr ke gulzār haiñ
sabza baḌā sarkash hai vaañ aur sard ḳhush-raftār haiñ
shāḳheñ haiñ vaañ ārāsta aur gul haiñ vaañ nau-ḳhāsta
pyāle haiñ jin ke madh-bhare aur pairahan zar-kār haiñ
har har qadam par ḳhūb-rū ārām-e-jāñ aur kām-jū
āñkhoñ meñ ġhunchoñ kī chaTak chehre ġhazab gulnār haiñ
jitne ye kam-āmez haiñ itne hī shauq-añgez haiñ
zāhir meñ jitne saḳht haiñ itne hī kam-āzār haiñ
un kī nigah kā sā.iqa kartā hai kār-e-lā.iqā
chakkheñ jo us kā zā.iqa sātoñ samundar paar haiñ
harf-e-ġhalat dīn-e-kuhan saare hijābāt-e-badan
āzād haiñ sab mard-o-zan sab aadmī sab yaar haiñ
jaage hue haiñ mai-kade har kufr-o-īmāñ se pare
bikhrī huī tasbīh hai TuuTe hue zunnār haiñ