ye aarzū hai hazar meñ hoñ yā safar meñ raheñ
tire ḳhayāl meñ guzreñ tirī nazar meñ raheñ
jo yād-e-yār satātī hai ab na fikr-e-visāl
to chal ke duur kahīñ arsa-e-ḳhatar meñ raheñ
ajiib lutf se guzreñ ye din jo yuuñ guzreñ
ki tere dil meñ raheñ aur apne ghar meñ raheñ
ye sādgī hai ki dil chāhtā hai yuuñ bhī ho
kabhī zamīñ pe raheñ aur kabhī qamar meñ raheñ