har ġham ġham-e-tāza hai ye shādāb hai siina
aisā bhī to is daur meñ nāyāb hai siina
hañgām-e-ḳhamīdan bhī ye sar ḳham nahīñ hotā
yuuñ kahne ko ganjīna-e-ādāb hai siina
jaise ki na aa.ī hai na aa.egī koī aur
har sub.h ko is taur se betāb hai siina
bātin pe nazar kiije to ik bahr hai zaḳhḳhār
zāhir pe nazar kiije to pāyāb hai siina
kab dasht-o-jabal koh-o-daman raah meñ aa.eñ
ho soz jo siine meñ to sailāb hai siina
zāhir meñ to jo kuchh hai vo asbāb-e-jahāñ hai
bātin meñ yahī chashma-e-asbāb hai siina
āñkheñ to barastī haiñ barastī hī raheñgī
kyuuñ Duub na jaa.eñ ki tah-e-āb hai siina
jis baab meñ āsār-e-ġhazālān-e-ajam haiñ
tauret kā qur.ān kā vo baab hai siina
har-dam mire hoñToñ se chhalaktī hai gulābī
betāb sī ik mauj-e-mai-e-nāb hai siina
bastī meñ ajab daulat-e-bedār haiñ āñkheñ
vīrāne meñ ik daulat-e-nāyāb hai siina
bedārī meñ soyā huā qatre meñ talātum
aur ḳhvāb meñ jaagā huā sailāb hai siina
hai rañj kā aalam bhī koī aish kā aalam
har-lahza ajab ālam-e-sad-ḳhvāb hai siina
aalam hai agar raaz to ye shīsha-e-jam hai
aalam hai agar saaz to mizrāb hai siina
allāh ġhanī kahiye ki allāh ġhanī hai
vo taab atā kī hai jahāñ-tāb hai siina