Khurshid-ul-islam

zamin pe khulti rahi hain kaliyan falak pe tare uga kiye hain

Khurshid-ul-islam

Rampur, Uttar pradesh, India

1919-2006
zamīñ pe khultī rahī haiñ kaliyāñ falak pe taare ugā kiye haiñ
yahī karishme huā kareñge yahī karishme huā kiye haiñ
junūñ nahīñ hai ki chāk-e-dāman ko ābrū-e-bahār samjheñ
ḳhizāñ kī yalġhār meñ bhī hamdam ham apnā dāman siyā kiye haiñ
kise ḳhabar thī ki mai-parastoñ ko un kī ḳhātir aziiz hogā
vo zahr-e-ġham jo na thā gavārā vo zahr-e-ġham jo piyā kiye haiñ
ḳhudā hai shāhid ki zindagī meñ vo sajda-hā-e-ġham-e-mohabbat
qazā hue the jo gāhe-gāhe ba-shart-e-fursat adā kiye haiñ
nahīñ hai mauqūf sar-kashī par mire lahū meñ kuchh aur bhī hai
hazār pahlū haiñ kufr-o-dīñ ke jo apne haq meñ ravā kiye haiñ
uThāo miinā ki shām-e-ġham ko sahar ke anvār se badal deñ
ye dāġh-e-hasrat to be-takalluf jalā kareñge jalā kiye haiñ
Top Urdushayar.com