Shaz Tamkanat

azab-e-hijr bhi hai rahat-e-visal ke sath

Shaz Tamkanat

Hyderabad, Telangana, India

1933-1985
azāb-e-hijr bhī hai rāhat-e-visāl ke saath
milī to haiñ mujhe ḳhushiyāñ magar malāl ke saath
tumhārī yaad meñ bhī zabt-o-etidāl kahāñ
maiñ tum se kaise milūñ zabt-o-etidāl ke saath
yahī bahut hai zamāne meñ chār-din ke liye
agar hayāt kaTe ek ham-ḳhayāl ke saath
kuchh is tarah shab-e-mah ne kiran kī dastak dī
ubhar ga.iiñ ka.ī choTeñ kisī ḳhayāl ke saath
ufuq nahīñ to kisī chāñd kā tasavvur kyā
sitāre Duub ga.e dard ke zavāl ke saath
shafaq gulāl kalī chāñdnī alaap sahar
nazar ke sāmne aa.e tirī misāl ke saath
bhaTak rahā huuñ ki fardā kā rāsta gum hai
qadam qadam mirā maazī hai mere haal ke saath
use sunūñ ki use dekhtā rahūñ ai 'shāz'
jamāl-e-naġhma bhī hai naġhma-e-jamāl ke saath
Top Urdushayar.com