ye ġham nahīñ ki ḳhushī meñ bhī kuchh mazā na rahā
hameñ ye ġham hai ki ab ġham bhī jāñ-fazā na rahā
vo ḳhvāb thā ki ji.eñ dil kī aarzū ke liye
ye vāqi.a hai ki marne kā hausla na rahā
na koī yaar na koī dayār kyā kiije
sivā.e saañs ke ab koī silsila na rahā
zabān kāñToñ kī pyāsī rahe rahe na rahe
hamāre paañv meñ jab koī aabla na rahā
bas ek arz o samā rah ga.e haiñ le de ke
sivā.e un ke koī apnā āshnā na rahā
hazār naqsh banā aur hazār naqsh miTā
kisī varaq pe haqīqat kā mājrā na rahā