Kaif Bhopali

thoDa sa aks chand ke paikar mein Dal de

Kaif Bhopali

Bhopal, Madhya Pradesh, India

1917-1991
thoḌā sā aks chāñd ke paikar meñ Daal de
tū aa ke jaan raat ke manzar meñ Daal de
jis din mirī jabīñ kisī dahlīz par jhuke
us din ḳhudā shigāf mire sar meñ Daal de
allāh tere saath hai mallāh ko na dekh
ye TuuTī phūTī naav samundar meñ Daal de
aa tere maal o zar ko maiñ taqdīs baḳhsh duuñ
lā apnā maal o zar mirī Thokar meñ Daal de
bhaag aise rahnumā se jo lagtā hai ḳhizr sā
jaane ye kis jagah tujhe chakkar meñ Daal de
is se tire makān kā manzar hai bad-numā
chiñgārī mere phuus ke chhappar meñ Daal de
maiñ ne panāh dī tujhe bārish kī raat meñ
tū jaate jaate aag mire ghar meñ Daal de
ai 'kaif' jāgte tujhe pichhlā pahar huā
ab laash jaise jism ko bistar meñ Daal de
Top Urdushayar.com