Kaif Bhopali

dagh duniya ne diye zaKHm zamane se mile

Kaif Bhopali

Bhopal, Madhya Pradesh, India

1917-1991
daaġh duniyā ne diye zaḳhm zamāne se mile
ham ko tohfe ye tumheñ dost banāne se mile
ham taraste hī taraste hī taraste hī rahe
vo falāne se falāne se falāne se mile
ḳhud se mil jaate to chāhat kā bharam rah jaatā
kyā mile aap jo logoñ ke milāne se mile
maañ kī āġhosh meñ kal maut kī āġhosh meñ aaj
ham ko duniyā meñ ye do vaqt suhāne se mile
kabhī likhvāne ga.e ḳhat kabhī paḌhvāne ga.e
ham hasīnoñ se isī hiile bahāne se mile
ik nayā zaḳhm milā ek na.ī umr milī
jab kisī shahr meñ kuchh yaar purāne se mile
ek ham hī nahīñ phirte haiñ liye qissa-e-ġham
un ke ḳhāmosh laboñ par bhī fasāne se mile
kaise māneñ ki unheñ bhuul gayā tū ai 'kaif'
un ke ḳhat aaj hameñ tere sirhāne se mile
Top Urdushayar.com