kuTiyā meñ kaun aa.egā is tīrgī ke saath
ab ye kivāḌ band karo ḳhāmushī ke saath
saaya hai kam khajūr ke ūñche daraḳht kā
ummīd bāñdhiye na baḌe aadmī ke saath
chalte haiñ bach ke shaiḳh o barhaman ke saa.e se
apnā yahī amal hai bure aadmī ke saath
shā.istagān-e-shahr mujhe ḳhvāh kuchh kaheñ
saḌkoñ kā husn hai mirī āvārgī ke saath
shā.ir hikāyateñ na sunā vasl o ishq kī
itnā baḌā mazāq na kar shā.irī ke saath
likhtā hai ġham kī baat masarrat ke mood meñ
maḳhsūs hai ye tarz faqat 'kaif' hī ke saath