dar-o-dīvār pe shakleñ sī banāne aa.ī
phir ye bārish merī tanhā.ī churāne aa.ī
zindagī baap kī mānind sazā detī hai
rahm-dil maañ kī tarah maut bachāne aa.ī
aaj kal phir dil-e-barbād kī bāteñ haiñ vahī
ham to samjhe the ki kuchh aql Thikāne aa.ī
dil meñ aahaT sī huī ruuh meñ dastak gūñjī
kis kī ḳhush-bū ye mujhe mere sirhāne aa.ī
maiñ ne jab pahle-pahal apnā vatan chhoḌā thā
duur tak mujh ko ik āvāz bulāne aa.ī
terī mānind tirī yaad bhī zālim niklī
jab bhī aa.ī hai mirā dil hī dukhāne aa.ī