jis pe tirī shamshīr nahīñ hai
us kī koī tauqīr nahīñ hai
us ne ye kah kar pher diyā ḳhat
ḳhuun se kyuuñ tahrīr nahīñ hai
zaḳhm-e-jigar meñ jhāñk ke dekho
kyā ye tumhārā tiir nahīñ hai
zaḳhm lage haiñ khulne gulchīñ
ye to tirī jāgīr nahīñ hai
shahr meñ yaum-e-aman hai vaa.iz
aaj tirī taqrīr nahīñ hai
uudī ghaTā to vāpas ho jā
aaj koī tadbīr nahīñ hai
shahr mohabbat kā yuuñ ujḌā
duur talak tāmīr nahīñ hai
itnī hayā kyuuñ ā.īne se
ye to mirī tasvīr nahīñ hai