jism par baaqī ye sar hai kyā karūñ
dast-e-qātil be-hunar hai kyā karūñ
chāhtā huuñ phūñk duuñ is shahr ko
shahr meñ in kā bhī ghar hai kyā karūñ
vo to sau sau martaba chāheñ mujhe
merī chāhat meñ kasar hai kyā karūñ
paañv meñ zanjīr kāñTe aable
aur phir hukm-e-safar hai kyā karūñ
'kaif' kā dil 'kaif' kā dil hai magar
vo nazar phir vo nazar hai kyā karūñ
'kaif' meñ huuñ ek nūrānī kitāb
paḌhne vaalā kam-nazar hai kyā karūñ