Shahab Akhtar

mir-o-ghaalib ki tarah sehr-bayan se nikle

Shahab Akhtar

'mīr'-o-'ġhālib' kī tarah sehr-bayāñ se nikle
sher aisā bhī koī dil se zabāñ se nikle
ashk se bhīge hue maiñ mire alfāz-e-ġhazal
aag se koī lapak jaise dhuāñ se nikle
koī sailāb bhī roke se nahīñ ruktā hai
rāsta thā hī nahīñ phir bhī vahāñ se nikle
Top Urdushayar.com