nikal ga.e the jo sahrā meñ apne itnī duur
vo log kaun se sūraj meñ jal rahe hoñge
adam kī niiñd meñ so.e hue kahāñ haiñ vo ab
jo kal vajūd kī āñkhoñ ko mal rahe hoñge
mile na ham ko javāb apne jin savāloñ ke
kisī zamāne meñ un ke bhī hal rahe hoñge
bas is ḳhayāl se dekhā tamām logoñ ko
jo aaj aise haiñ kaise vo kal rahe hoñge
phir ibtidā kī taraf hogā intihā kā ruḳh
ham ek din yahāñ shakleñ badal rahe hoñge
'malāl' aise ka.ī log hoñge raste meñ
jo tum se tez yā āhista chal rahe hoñge