jise sunāoge pahle hī sun chukā hogā
mujhe yaqīn hai ye aisā vāqi.a hogā
yahāñ to ab bhī haiñ tanhā.iyāñ javāb-talab
vo pahle-pahl yahāñ kis tarah rahā hogā
jo aaj tak huā kuchh kuchh samajh meñ aatā hai
koī batā.e yahāñ is ke ba.ad kyā hogā
ḳhalā meñ pā.eñge taarā jo duur tak nikleñ
phir is ke ba.ad bahut duur tak ḳhalā hogā
samajhtā huuñ maiñ agar sab alāmateñ us kī
to phir vo merī tarah se hī sochtā hogā
qadīm kar ga.ī ḳhvāhish jadīd hone kī
kise ḳhabar thī yahāñ tak vo dā.era hogā
shikasta-pā.ī se hotī haiñ bastiyāñ ābād
jo ab qabīla huā pahle qāfila hogā
pasand hoñgī abhī tak kahāniyāñ us ko
vo mere jaisā koī ab bhī DhūñDtā hogā
fazā zamīn kī thī itnī ajnabī ki 'malāl'
sitāra-vār kahīñ raakh ho gayā hogā