Sagheer Malal

wo haqiqat mein ek lamha tha

Sagheer Malal

Rawalpindi, Punjab, Pakistan

1951-1992
vo haqīqat meñ ek lamha thā
jis kā daurān ye zamāna thā
merī nazroñ se gir paḌī hai zamīñ
kyuuñ bulandī ne is ko dekhā thā
kaisī paivand-kār hai fitrat
muntashir ho ke bhī maiñ yakjā thā
raushnī hai kisī ke hone se
varna buniyād to añdherā thā
jab bhī dekhā nayā lagā mujh ko
kyā tamāshā jahān-e-kohna thā
us ne mahdūd kar diyā ham ko
koī ham se yahāñ zyāda thā
jab ki sūraj thā pālne vaalā
chāñd se kyā lahū kā rishta thā
mar gayā jo bhī us ke baare meñ
dhyān paḌtā nahīñ ki zinda thā
yahīñ paidā yahīñ javān huā
us ke lab par kahāñ kā qissa thā
koī gunjān thā koī vīrān
koī jañgal kisī meñ sahrā thā
umr saarī vo niiñd meñ bolā
chand lamhoñ ko koī jaagā thā
kahīñ jaane kī sab ne bāteñ kiiñ
kaise aate haiñ kaun bolā thā
saarī uljhan usī se paidā huī
vo jo vāhid hai be-tahāshā thā
dauḌte phir rahe the saare log
jab ki un ko yahīñ pe rahnā thā
tujh ko laanā hisār meñ apne
merā adnā sā ik karishma thā
farq gahrā.ī aur pastī meñ
kisī bulandī se dekh paayā thā
us kī tafsīl meñ thā sargardāñ
zehn meñ muḳhtasar sā ḳhāka thā
paas aa kar use huā mālūm
maiñ akelā nahīñ thā tanhā thā
kitne fīsad the jāgne vaale
kitne logoñ ko hosh aayā thā
kis ko ibnus-sabīl kahte 'malāl'
na.e rastoñ kā kaun beTā thā
Top Urdushayar.com