kaise jānūñ ki jahāñ ḳhvāb-numā hotā hai
jabki har shaḳhs yahāñ ābla-pā hotā hai
dekhne vāloñ kī ā.ankhoñ meñ namī tairtī hai
sochne vāloñ ke siine meñ ḳhalā hotā hai
log us shahr ko ḳhush-hāl samajh lete haiñ
raat ke vaqt bhī jo jaag rahā hotā hai
ghar ke baare meñ yahī jaan sakā huuñ ab tak
jab bhī lauTo koī darvāza khulā hotā hai
fāsle is tarah simTe haiñ na.ī duniyā meñ
apne logoñ se har ik shaḳhs judā hotā hai
mere muhtāj nahīñ haiñ ye badalte mausam
maan letā huuñ magar dil bhī burā hotā hai
chāñdnī raat ne ehsās dilāyā hai 'malāl'
aadmī kitne sarāboñ meñ ghirā hotā hai