na jaane kyuuñ sadā hotā hai ek sā anjām
ham ek sī to kahānī sadā nahīñ kahte
jidhar pahuñchnā hai āġhāz bhī vahīñ se huā
safar samajhte haiñ is ko sazā nahīñ kahte
nayā shu.ūr na.e isti.āre laatā hai
azal se log ḳhudā ko ḳhudā nahīñ kahte
jo giit chunte haiñ ḳhāmoshiyoñ ke sahrā se
vo lab-kushāoñ ko rāz-āshnā nahīñ kahte
fazā kā lafz hai us ke liye alag maujūd
jo ghar Thahartī hai us ko havā nahīñ kahte
zamāne bhar se ulajhte haiñ jis kī jānib se
akele-pan meñ use ham bhī kyā nahīñ kahte
jo dekh lete haiñ chīzoñ ke ār-pār 'malāl'
kisī bhī chiiz ko itnā burā nahīñ kahte