alag haiñ ham ki judā apnī rah-guzar meñ haiñ
vagarna log to saare isī safar meñ haiñ
hamārī jast ne māzūl kar diyā ham ko
ham apnī vus.atoñ meñ apne baam o dar meñ haiñ
yahāñ se un ke guzarne kā ek mausam hai
ye log rahte magar kaun se nagar meñ haiñ
jo dar-ba-dar ho vo kaise sambhāl saktā hai
tirī amānateñ jitnī haiñ mere ghar meñ haiñ
ajiib tarah kā rishta hai pāniyoñ se 'malāl'
judā judā sahī sab ek hī bhañvar meñ haiñ