phir is ke baad rāsta hamvār ho gayā
jab ḳhaak se ḳhayāl numūdār ho gayā
ik dāstān-go huā aisā ki apne baad
saarī kahāniyoñ kā vo kirdār ho gayā
saaya na de sakā jise dīvār kā vajūd
us kā vajūd naqsh-ba-dīvār ho gayā
āñkheñ buland hote hī mahdūd ho ga.iiñ
nazreñ jhukā ke dekhā to dīdār ho gayā
vo dūsre dayār kī bātoñ se āshnā
vo ajnabī qabīle kā sardār ho gayā
so.e hue kareñge 'malāl' us kā tajziya
is ḳhvāb-gāh meñ koī bedār ho gayā