raat andar utar ke dekhā hai
kitnā hairān-kun tamāshā hai
ek lamhe ko sochne vaalā
ek arse ke baad bolā hai
mere baare meñ jo sunā tū ne
merī bātoñ kā ek hissa hai
shahr vāloñ ko kyā ḳhabar ki koī
kaun se mausamoñ meñ zinda hai
jā basī duur bhaa.ī kī aulād
ab vahī dūsrā qabīla hai
baañT leñge na.e gharoñ vaale
is havelī kā jo asāsa hai
kyuuñ na duniyā meñ apnī ho vo magan
us ne kab āsmān dekhā hai
āḳhirī tajziya yahī hai 'malāl'
aadmī dā.eroñ meñ rahtā hai