maiñ DhūñD luuñ agar us kā koī nishāñ dekhūñ
buland hotā fazā meñ kahīñ dhuāñ dekhūñ
abas hai sochnā lā-intihā ke baare meñ
nigāheñ kyuuñ na jhukā luuñ jo āsmāñ dekhūñ
bahut qadīm hai matrūk to nahīñ lekin
havā jo ret pe likhtī hai vo zabāñ dekhūñ
hai ek umr se ḳhvāhish ki duur jā ke kahīñ
maiñ ḳhud ko ajnabī logoñ ke darmiyāñ dekhūñ
ḳhayāl tak na rahe rā.egāñ guzarne kā
agar 'malāl' in āñkhoñ ko mehrbāñ dekhūñ