ḳhud se niklūñ to alag ek samāñ hotā hai
aur gahrā.ī meñ utrūñ to dhuāñ hotā hai
itnī pechīdgī niklī hai yahāñ hone meñ
ab koī chiiz na hone kā gumāñ hotā hai
ik tasalsul kī rivāyat hai havā se mansūb
ḳhaak par us kā amiiñ āb-e-ravāñ hotā hai
sab savāloñ ke javāb ek se ho sakte haiñ
ho to sakte haiñ magar aisā kahāñ hotā hai
saath rah kar bhī ye ik dūsre se Darte haiñ
ek bastī meñ alag sab kā makāñ hotā hai
kyā ajab raaz hai hotā hai vo ḳhāmosh 'malāl'
jis pe hone kā koī raaz ayaañ hotā hai