kyuuñ har uruuj ko yahāñ āḳhir zavāl hai
socheñ agar to sirf yahī ik savāl hai
bālā-e-sar falak hai to zer-e-qadam hai ḳhaak
us be-niyāz ko mirā kitnā ḳhayāl hai
lamha yahī jo is ghaḌī aalam pe hai muhīt
hone kī is jahān meñ tanhā misāl hai
āḳhir huī shikast to apnī zamīn par
apne badan se merā nikalnā muhāl hai
sūraj hai raushnī kī kiran is jagah 'malāl'
vus.at meñ kā.enāt añdhere kā jaal hai