kisī insān ko apnā nahīñ rahne dete
shahr aise haiñ ki tanhā nahīñ rahne dete
dā.ere chand haiñ gardish meñ azal se jo yahāñ
koī bhī chiiz hamesha nahīñ rahne dete
kabhī nākām bhī ho jaate haiñ vo log ki jo
vāpsī kā koī rasta nahīñ rahne dete
un se bachnā ki bichhāte haiñ panāheñ pahle
phir yahī log kahīñ kā nahīñ rahne dete
jis ko ehsās ho aflāk kī tanhā.ī kā
der tak us ko akelā nahīñ rahne dete
vāqa.ī nuur liye phirte haiñ sar pe koī
apne atrāf jo saaya nahīñ rahne dete
zindagī pyārī hai logoñ ko agar itnī 'malāl'
kyuuñ masīhāoñ ko zinda nahīñ rahne dete