Baqar Mehdi

ab KHanuman-KHarab ki manzil yahan nahin

Baqar Mehdi

Rudauli, Uttar pradesh, India

1927-2006
ab ḳhānumāñ-ḳharāb kī manzil yahāñ nahīñ
kahne ko āshiyāñ hai magar āshiyāñ nahīñ
ishq-e-sitam-navāz kī duniyā badal ga.ī
husn-e-vafā-shanās bhī kuchh bad-gumāñ nahīñ
mere sanam-kade meñ ka.ī aur but bhī haiñ
ik merī zindagī ke tumhīñ rāz-dāñ nahīñ
tum se bichhaḌ ke mujh ko sahārā to mil gayā
ye aur baat hai ki maiñ kuchh shādmāñ nahīñ
apne hasīn ḳhvāb kī tābīr ḳhud kare
itnā to mo'tabar ye dil-e-nā-tavāñ nahīñ
zulf-e-darāz qissa-e-ġham meñ ulajh na jaa.e
andeshā-hā-e-ishq kahāñ haiñ kahāñ nahīñ
har har qadam pe kitne sitāre bikhar ga.e
lekin rah-e-hayāt abhī kahkashāñ nahīñ
sailāb-e-zindagī ke sahāre baḌhe chalo
sāhil pe rahne vāloñ kā nām-o-nishāñ nahīñ
Top Urdushayar.com