ye dostī kā taqāzā hai is ko dhyān meñ rakh
hamesha fāsla thoḌā sā darmiyān meñ rakh
badalne vaalā hai ḳhurshīd-tāb kā mausam
to koī der abhī ḳhud ko sā.ebān meñ rakh
safīna ḳhud hī tirā jā lagegā sāhil se
havā lapeT ke thoḌī sī bādbān meñ rakh
subūt apnī shujā.at kā tujh ko denā hai
shikasta tiir kaḌaktī huī kamān meñ rakh
tire suḳhan ke sadā log hoñge girvīda
miThās urdu kī thoḌī bahut zabān meñ rakh
'mubārak' aur kahīñ par panāh-gāh na DhūñD
tū apne aap ko allāh kī amaan meñ rakh