Mubarak Ansari

hum tere shahr se yun jaan-e-wafa lauT aae

Mubarak Ansari

ham tire shahr se yuuñ jān-e-vafā lauT aa.e
jaise dīvār se Takrā ke sadā lauT aa.e
na koī ḳhvāb na manzar na koī pas-manzar
kitnā achchhā ho jo bachpan kī fazā lauT aa.e
aa ga.iiñ phir vahī mausam kī jabīñ par shikneñ
mas.ale phir vahī is baar bhī kyā lauT aa.e
apne āñgan meñ koī peḌ lagā tulsī kā
shāyad is tarah se phir ḳhvāb tirā lauT aa.e
jism se sote pasīne ke ubal uTThe haiñ
ab to behtar hai ki masmūm havā lauT aa.e
lauT ham aa.e 'mubārak' yuuñ dar-e-jānāñ se
jaise ākāsh se muflis kī duā lauT aa.e
Top Urdushayar.com