Mubarak Ansari

zamin-e-fikr mein lafzon ke jangal chhoD jaana

Mubarak Ansari

zamīn-e-fikr meñ lafzoñ ke jañgal chhoḌ jaanā
ġhazal meñ apnī koī sher mohmal chhoḌ jaanā
haiñ nā-mānūs abhī karb-e-tamāshā se nigāheñ
dayār-e-jāñ meñ āshob-e-musalsal chhoḌ jaanā
nazar aa.eñ kabhī tahrīr meñ be-rabt fiqre
kabhī peshānī-e-tanqīd pe bal chhoḌ jaanā
baḌī mushkil se hotā hai koī darvesh-ḳhaslat
miyāñ āsāñ nahīñ kamḳhvāb-o-maḳhmal chhoḌ jaanā
ki raas aatā nahīñ āñkhoñ ko ab sho.aloñ kā mausam
havāoñ is taraf bhī lā ke bādal chhoḌ jaanā
'mubārak' bas yahī ik āḳhirī ḳhvāhish hai apnī
jo mujh ko qatl karnā ho to maqtal chhoḌ jaanā
Top Urdushayar.com