khīñch kar mujh ko har ik naqsh-o-nishāñ le jaa.e
kyā pata zauq-e-safar merā kahāñ le jaa.e
kaam ye har kas-o-nā-kas ke nahīñ hai bas kā
jis ko sach kahnā ho ḳhanjar pe zabāñ le jaa.e
sirf ik baar tabassum vo uchhāle to idhar
aur badle meñ mirā saarā jahāñ le jaa.e
jis ko dikhlānī ho duniyā ko shujā.at apnī
vahī sar apnā sar-e-nok-e-sināñ le jaa.e
kahīñ raushan nazar aate nahīñ ab sar ke charāġh
arsa-e-jañg se vo ḳhud ko kahāñ le jaa.e
apnī ġhazloñ meñ jise rañg-e-quzah bharnā ho
vo 'mubārak' mirā ejāz-e-bayāñ le jaa.e