gumāñ kī qaid-e-hisār-e-qayās se niklo
kisī tarah se bhī is sabz ghaas se niklo
ye shahr-e-sañg hai shahr-e-vafā nahīñ hai ye
agar nikalnā hai hosh-o-havās se niklo
vagarna vaqt tumheñ hāshiye pe rakh degā
yaqīñ ke sehr se āshob-e-ās se niklo
ye kaisā nashsha hai āḳhir jo TūTtā hī nahīñ
koī pukār rahā hai gilās se niklo
kahāñ talak maiñ nigāhoñ ko duuñ fareb apnī
kabhī to gard-e-adam ke libās se niklo
'mubārak' aag ke dariyā se bhī guzarnā hai
dahaktī dhuup se sahrā kī pyaas se niklo