usī ke pyaar ko dil se nikāl rakkhā hai
hamesha jis ne hamārā ḳhayāl rakkhā hai
vagarna TuuT ke kab kā bikhar gayā hotā
ḳhayāl-e-yār ne dil ko sambhāl rakkhā hai
magar haiñ dīda-e-bīnā ko ham sameTe hue
hamāre aage hamārā ma.aal rakkhā hai
chale bhī aao ki ham ne dayār-e-ġhair meñ bhī
sabīl DhūñD lī rasta nikāl rakkhā hai
shikasta-ḳhvāb muqaddar kahīñ na ban jaa.eñ
ḳhudā-e-vaqt ne va.adoñ pe Taal rakkhā hai
azal ke din se 'mubārak' havāoñ kī zad par
mirā vajūd diye kī misāl rakkhā hai